koi bhi shaKHs jo wahm-o-guman ki zad mein raha
wo ta-hayat azab-e-qubul-o-rad mein raha
KHuda ki zat mein zam ho gaya jahan darwesh
wahan na farq koi kare-nek-o-bad mein raha
wo mohtaram hai jo tasKHir-e-zat ki KHatir
tamam umr laDa aur apni had mein raha
mere hi dam se kahani mein manawiyyat thi
mera shumar magar harf-e-mustarad mein raha
wo har lihaz se na-mo'tabar ikai tha
magar waqar se maujud har adad mein raha
ajal ne zist ke sab masale sameT liye
baDe sukun se wo gosha-e-lahad mein raha
wo main nahin tha koi aur shaKHs tha ai 'soz'
jo mera jism liye mere KHal-o-KHad mein raha
Ghazal
Koi bhi shaKHs jo wahm-o-guman ki zad mein raha
Hira Nand Soz