koi bhi shai ho miyan jaan se pyari kise hai
jaan haari hai to ye dekhiye haari kise hai
kornish gul ko kare kaliyon ko aadab kahe
hosh ye mamlikat-e-baad-e-bahaari kise hai
dil bhi bas ek namuna hai ki duniya pe miTa
nazr zeba thi kise aur guzari kise hai
ek khunTe se bandhe dasht-o-daman dekhe hain
ab mayassar ram-e-ahu-e-tatari kise hai
uD chalo muntaKHab-e-KHas hain us ke hum log
warna hasil ye tamanna ki sawari kise hai
ek sitare ke liye sar falak karta hun
dosto fursat-e-sayyara-shikari kise hai
Ghazal
Koi bhi shai ho miyan jaan se pyari kise hai
Arshad Abdul Hamid