koi bhi naqsh salamat nahin hai chehre ka
badal gaya hai kuchh aisa chalan zamane ka
main kis liye tujhe ilzam-e-bewafai dun
ki main to aap hi patthar hun apne raste ka
koi hai rang koi raushni koi KHushbu
juda juda hai tassur har ek lamhe ka
wo tirgi hai musallat ki aasmanon par
suragh tak nahin milta kisi sitare ka
ghazab to ye hai muqabil khaDa hai wo mere
ki jis se mera talluq hai KHun ke rishte ka
tana hua hai wahan aaj KHema-e-KHurshid
uga hua tha jahan kal daraKHt sae ka
wo ja chuka hai rupahli ruton ke sath magar
bhaDak raha hai abhi tak charagh sine ka
guzar rahe hain ye kis pul-e-siraat se hum log
ki dil mein 'tab' guman tak nahin hai jine ka

Ghazal
Koi bhi naqsh salamat nahin hai chehre ka
Tab Aslam