koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein
main ghuT ke mar gaya apni sada ke gumbad mein
ghubar-e-fikr chhaTa jab to dekhta kya hun
abhi khaDa hun main harf-o-nawa ki sarhad mein
mere harifon pe be-wajh KHauf ghaalib hai
hai kaun mere siwa mere war ki zad mein
koi KHabar hi na thi marg-e-justuju ki mujhe
zamin phalang gaya apne shauq-e-behad mein
ajab tha main bhi ki KHud apni hi sana ki 'zeb'
phir ek hajw kahi is qaside ki radd mein
Ghazal
Koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein
Zeb Ghauri