koi be-jaan koi be-ghar nahin dekha jata
rose tarrara-e-mahshar nahin dekha jata
chhin le hairat-e-nazzara ye binai bhi
aankh hoti hai to manzar nahin dekha jata
be-hisi shart hai jine ke liye ye duniya
KHam-e-abru hai ki KHanjar nahin dekha jata
dekhiye KHusrawi-o-munsafi-o-dad-rasi
taj-o-taKHt-o-zar-o-lashkar nahin dekha jata
khel bachchon ka nahin shoala-e-sad-KHirman hai
gul-e-KHubi hai to chhukar nahin dekha jata
did ki shab thi ki butlan tha us dawe ka
raat mein mehr-e-munawwar nahin dekha jata
Ghazal
Koi be-jaan koi be-ghar nahin dekha jata
Syed Amin Ashraf

