koi batae ki ye rang-e-dosti kya hai
wo shaKHs puchh raha hai ki dilbari kya hai
gae dinon ke tabassum ki rakh bikhri hai
hawa-e-shahr mere dil mein DhunDhti kya hai
fasil-e-jism pe tani hai karb ki chadar
hum ahl-e-dard se puchho ki zindagi kya hai
sitam ki lahr chali aa mujhe gale se laga
mere wajud ke aangan mein sochti kya hai
wo dhaDkanon ke talatum se aashna hi nahin
use KHabar hi nahin hai ki shairi kya hai
jo mah-washon ki jabinon se phuTti hai 'niyaz'
parakh sako to parakh lo wo raushni kya hai
Ghazal
Koi batae ki ye rang-e-dosti kya hai
Niyaz Husain Lakhwera

