koi bachne ka nahin sab ka pata jaanti hai 
kis taraf aag lagana hai hawa jaanti hai 
ujle kapDon mein raho ya ki naqaben Dalo 
tum ko har rang mein ye KHalq-e-KHuda jaanti hai 
rok paegi na zanjir na diwar koi 
apni manzil ka pata aah-e-rasa jaanti hai 
TuT jaunga bikhar jaunga haarunga nahin 
meri himmat ko zamane ki hawa jaanti hai 
aap sach bol rahe hain to pasheman kyun hain 
ye wo duniya hai jo achchhon ko bura jaanti hai 
aandhiyan zor dikhaen bhi to kya hota hai 
gul khilane ka hunar baad-e-saba jaanti hai 
aankh wale nahin pahchante us ko 'manzar' 
jitne nazdik se phulon ki ada jaanti hai
        Ghazal
Koi bachne ka nahin sab ka pata jaanti hai
Manzar Bhopali

