koi aur hai nahin to nahin mere ru-ba-ru koi aur hai
baDi der main tujhe dekh kar ye laga ki tu koi aur hai
ye gunahgaron ki sar-zamin hai bahisht se bhi siwa hasin
magar is dayar ki KHak mein sabab-e-numu koi aur hai
jise DhunDhta hun gali gali wo hai mere jaisa hi aadmi
magar aadmi ke libas mein wo farishta-KHu koi aur hai
koi aur shai hai wo be-KHabar jo sharab se bhi hai tez-tar
mera mai-kada kahin aur hai mera hum subu koi aur hai
Ghazal
Koi aur hai nahin to nahin mere ru-ba-ru koi aur hai
Nasir Kazmi