koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata
ghubar apna agar gard-e-rah-e-manzil mein rah jata
nahin malum kis muddat se KHanjar tishna-e-KHun tha
koi KHatra lahu ka kyun tan-e-bismil mein rah jata
safai kab thi mumkin ye ghubar-e-dil wo kafir hai
mere dil se nikalta bhi to us ke dil mein rah jata
jala aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gaya fauran
agar hota charagh-o-shama us mahfil mein rah jata
tassuf hai ghubar-e-qais ki parwaz-e-hasrat par
lipaT kar kash thoDa parda-e-mahmil mein rah jata
na deta gar sahaara kuchh umid-e-wasl ka tufan
shanawar bahr-e-gham ka hasrat-e-sahil mein rah jata
is aaine mein gar wo dekh lete ru-e-anwar ko
to kyun itna baDa dhabba mah-e-kaamil mein rah jata
na milta muddaa-e-dil diram milta jo munim se
magar ek dagh ban kar wo kaf-e-sail mein rah jata
nishan us ka kahin milta suragh us ka kahin lagta
to apna panw kyun thak kar rah-e-manzil mein rah jata
'nazar' hum ko ilaqa sher se kya par ye hasrat hai
na rahte hum to apna zikr us mahfil mein rah jata
Ghazal
Koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi