koi apne waste mahshar uTha kar le gaya
yani mere KHwab ka manzar uTha kar le gaya
zaKHm-KHurda tha yaqinan koi KHushbu-ashna
jo laga tha sar pe wo patthar uTha kar le gaya
gosha gosha aaina-KHana nazar aaya mujhe
KHud ko jab bahar se main andar uTha kar le gaya
kyun sarabon ko samajhta hai wo bahr-e-be-karan
kyun wo meri zat ka paikar uTha kar le gaya
kuchh na kuchh le kar hi kuchh deti hai duniya is liye
KHud-gharaz duniya se main daftar uTha kar le gaya
main to sang-e-mil hun har rah-rau ke waste
kya milega koi mujh ko gar uTha kar le gaya
atlas-o-kam-KHwab mein malbus tha jis ka badan
kyun meri maili si wo chadar uTha kar le gaya
kal talak jo kah raha tha mere fan ko raegan
aaj wo mera ghazal-sagar uTha kar le gaya
kis ne mujh ko anjuman mein kar diya tanha 'wali'
kaun meri fikr ka mehwar uTha kar le gaya
Ghazal
Koi apne waste mahshar uTha kar le gaya
Waliullah wali