koi aisi baat hai jis ke Dar se bahar rahte hain
hum jo itni raat gae tak ghar se bahar rahte hain
patthar jaisi aankhon mein suraj ke KHwab lagate hain
aur phir hum is KHwab ke har manzar se bahar rahte hain
jab tak rahte hain aangan mein hangame tanhai ke
KHamoshi ke sae baam-o-dar se bahar rahte hain
jab se be-chehron ki basti mein chehre taqsim hue
us din se hum aainon ke ghar se bahar rahte hain
jis ki ret pe nam likhe hain 'azhar' Dubne walon ke
wo sahil maujon ke shor-o-shar se bahar rahte hain
Ghazal
Koi aisi baat hai jis ke Dar se bahar rahte hain
Azhar Naqvi