koi aisa hal nikalen silsila yunhi rahe
mar bhi jaen to hamara rabta yunhi rahe
chalti jae kashti yunhi baadban khole hue
ye jazire ye dhuan aab-o-hawa yunhi rahe
KHatm ho jae dukhon ka ye pahaDi silsila
aur qaem do dilon ka hausla yunhi rahe
meri aankhon mein sada khilte rahen ashkon ke phul
aur tere masum honTon par dua yunhi rahe

Ghazal
Koi aisa hal nikalen silsila yunhi rahe
Hasan Abbasi