koi ahd-e-wafa bhula hua hun
nahin kuchh yaad kya bhula hua hun
KHabar-giri karunga kya kisi ki
main KHud apna pata bhula hua hun
agar mangon to shayad pa sakun kuchh
magar harf-e-dua bhula hua hun
KHud apne shahr hi mein hun musafir
main ghar ka rasta bhula hua hun
mujhe hai yaad jo tujh se suna tha
KHud apna hi kaha bhula hua hun
hun zinda is liye furqat mein ab tak
ki nashsha wasl ka bhula hua hun
duaen mangta hun sab ki KHatir
KHud apna muddaa bhula hua hun
gham-e-duniya gham-e-dauran gham-e-dil
sabhi tere siwa bhula hua hun
'nadim' us ke bina jiwan ye mera
jaza hai ya saza bhula hua hun
Ghazal
Koi ahd-e-wafa bhula hua hun
Farhat Nadeem Humayun