اردو हिंदी
Koi ada-shanas-e-mohabbat hamein batae | Shaahi Shayari
koi ada-shanas-e-mohabbat hamein batae

Ghazal

Koi ada-shanas-e-mohabbat hamein batae

Andaleeb Shadani

;

koi ada-shanas-e-mohabbat hamein batae
jo hum ko bhul jae wo kyun hum ko yaad aae

kis ki majal thi ki hijab-e-nazar uThae
wo muskura ke aap hi dil ke qarib aae

ek dil-nashin nigah mein allah ye KHalish
nashtar ki nok jaise kaleje mein TuT jae

kuchh hum se be-KHudi mein huin be-hijabiyan
chashmak-zani sitaron ne ki phul muskurae

nadan sahi par itne bhi nadan nahin hain hum
KHud hum ne jaan jaan ke kitne fareb khae

wo jaan-e-arzu ki hai sarmaya-e-nashat
kyun us ki yaad gham ki ghaTa ban ke dil pe chhae

kahte the tum se chhuT ke kyunkar jiyenge hum
jite hain tum se chhuT ke taqdir jo dikhae

mayusiyon mein dil ka wo aalam dam-e-widaa
bujhte hue charagh ki lau jaise thartharae

tum to hamin ko kahte the ye tum ko kya hua
dekho kanwal ke phulon se shabnam chhalak na jae

ek na-tamam KHwab mukammal na ho saka
aane ko zindagi mein bahut inqalab aae