koi ada jo kahin apne-pan si pata hun
dayar-e-ghair mein ThanDak watan si pata hun
main jab bhi tajziya karta hun tera ai duniya
is aaine mein tujhe bad-chalan si pata hun
KHuda kare ki mere dost KHairiyat se hon
ajib tarah ki dil mein chubhan si pata hun
badalne wala hai shayad mizaj mausam ka
jabin-e-waqt ko main pur-shikan si pata hun
sukun milta hai yaron se mazarat kar ke
talluqat mein jab bhi ghuTan si pata hun
KHuda hi rakkhe mere karwan ki KHair ab to
ki rahbar mein ada rahzan si pata hun
main dushmanon mein nahin doston mein hun 'majid'
yahan to aur ziyaada ghuTan si pata hun
Ghazal
Koi ada jo kahin apne-pan si pata hun
Majid Deobandi