koi aaseb hai saya hai ki jadugar hai
jaane kya baat hai har shaKHs ke dil mein Dar hai
ek hi rele mein bah jaegi KHasta buniyaad
sail-e-be-mehr ke shanon pe hamara ghar hai
tere dil mein bhi mohabbat ki hararat na rahi
mera sarmaya-e-ehsas bhi muTThi-bhar hai
saneha hai ki hamein luTa gaya hai phir bhi
shahr luT jaane ka ilzam hamare sar hai
jism ujDi hui basti ka khanDar lagta hai
ruh viran jaziron ki tarah banjar hai
mujhe dhaDka hai to bas TuT ke gir jaane ka
soch ka koh-e-garan-bar mere sar par hai
jism andar se har ek lamha chaTaKHta hai 'niyaz'
yun to qabron ki si KHamoshi mere bahar hai
Ghazal
Koi aaseb hai saya hai ki jadugar hai
Niyaz Husain Lakhwera