koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya
mujhe apna hath bhi chhu gaya to KHayal teri taraf gaya
koi aa ke jaise chala gaya koi ja ke jaise gaya nahin
mujhe apna ghar kabhi ghar laga to KHayal teri taraf gaya
meri be-kali thi shaguftagi so bahaar mujh se lipaT gai
kaha wahm ne ki ye kaun tha to KHayal teri taraf gaya
mujhe kab kisi ki umang thi meri apne aap se jang thi
hua jab shikast ka samna to KHayal teri taraf gaya
kisi hadse ki KHabar hui to faza ki sans ukhaD gai
koi ittifaq se bach gaya to KHayal teri taraf gaya
tere hijr mein KHur-o-KHwab ka kai din se hai yahi silsila
koi luqma hath se gir paDa to KHayal teri taraf gaya
mere iKHtiyar ki shiddaten meri dastaras se nikal gain
kabhi tu bhi samne aa gaya to KHayal teri taraf gaya
Ghazal
Koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya
Liyaqat Ali Aasim