koi aarzu nahin hai koi muddaa nahin hai
tera gham rahe salamat mere dil mein kya nahin hai
kahan jam-e-gham ki talKHi kahan zindagi ka darman
mujhe wo dawa mili hai jo meri dawa nahin hai
tu bachae lakh daman mera phir bhi hai ye dawa
tere dil mein main hi main hun koi dusra nahin hai
tumhein kah diya sitam-gar ye qusur tha zaban ka
mujhe tum muaf kar do mera dil bura nahin hai
mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de
ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai
ye udas udas chehre ye hasin hasin tabassum
teri anjuman mein shayad koi aaina nahin hai
meri aankh ne tujhe bhi ba-KHuda 'shakil' paya
main samajh raha tha mujh sa koi dusra nahin hai
Ghazal
Koi aarzu nahin hai koi muddaa nahin hai
Shakeel Badayuni