koi aabaad manzil hum jo viran dekh lete hain
ba-hasrat su-e-charKH-e-fitna-saman dekh lete hain
nazar husn aashna Thahri wo KHalwat ho ki jalwat ho
jab aankhen band kin taswir-e-jaanan dekh lete hain
shab-e-wada hamesha se yahi mamul hai apna
sahar tak rah-e-shoKH-e-sust-paiman dekh lete hain
KHuda ne di hain jin raushan-dilon ko dur-bin nazren
sawad-e-kufr mein wo nur-e-iman dekh lete hain
dil-e-betab ka israr mane sharm-e-ruswai
bacha kar sab ki nazren su-e-jaanan dekh lete hain
wo KHud sar se qadam tak Dub jate hain pasine mein
bhari mahfil mein jo un ko pashiman dekh lete hain
Tapak paDte hain shabnam ki tarah be-iKHtiyar aansu
chaman mein jab kabhi gul-ha-e-KHandan dekh lete hain
nigah-e-naz ki mastana ye nishtar-zani kaisi
ba-waqt-e-fisd ragzan bhi rag-e-jaan dekh lete hain
asiran-e-sitam ke pasbanon par hain takiden
badalte hain jo pahra qufl-e-zindan dekh lete hain
'safi' rahte hain jaan o dil fida karne pe aamada
magar us waqt jab insan ko insan dekh lete hain
Ghazal
Koi aabaad manzil hum jo viran dekh lete hain
Safi Lakhnavi