kohsar ka KHugar hai na paband-e-gulistan
aazad hai har qaid-e-maqami se musalman
ghar kunj-e-qafas ko bhi bana leti hai bulbul
shahin ki nigahon mein nasheman bhi hai zindan
allah ke bandon ki hai duniya hi nirali
kanTe koi bota hai to ugte hain gulistan
kah do ye qayamat se dabe panw guzar jae
kuchh soch raha hai abhi bhaarat ka musalman
ai shaiKH-e-haram aaj tera faisla kya hai
saf-bandi-e-masjid ki saf-arai-e-maidan
sine mein shikam le ke ubharti hain jo qaumen
ban jati hain aaKHir mein KHud aazuqa-e-dauran
chalti hui ek baat hai na-mo'tabar ek chiz
na-ahl ki daulat ho ki nadar ka iman
mulla ka ye fatwa hai ki 'faruq' hai mulhid
ai din-e-mohammad tera allah nigah-ban
Ghazal
Kohsar ka KHugar hai na paband-e-gulistan
Farooq Banspari