kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai
hairan hun ki patthar ko hawa kaT rahi hai
peshani-e-sahil pe koi nam na ubhre
har mauj samundar ka likha kaT rahi hai
alfaz ki dharti pe hun mafhum-gazida
ab jism pe kaghaz ki qaba kaT rahi hai
har ruh pas-e-parda-e-tartib-e-anasir
na-karda gunahon ki saza kaT rahi hai
fankar ka KHun daman-e-taKHliq pe goya
taswir musawwir ka gala kaT rahi hai
mahjub hain maghrur daraKHton ki qataren
har shaKH ko shamshir-e-ana kaT rahi hai
Ghazal
Kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai
Jamuna Parsad Rahi