koh ke sine se aab-e-atashin lata koi
is nawa-e-agahi ko Dub kar gata koi
dekhta masti ka sangam lab hai ya guftar hai
jam se mere jo apna jam Takraata koi
baadalon ki tarah aaya barq-asa chal diya
chand ki manind shab bhar to Thahar jata koi
husn ka dil se talluq daimi hai garm hai
warna kis ka kis se hai rishta koi nata koi
mangne ko mang len ashaar-e-gham se dilkashi
mil nahin sakta hai un ko fikr sa data koi
nazish-e-farda mera husn-e-taghazzul hai 'hasan'
ranj hota aaj gar kuchh qadr farmata koi
Ghazal
Koh ke sine se aab-e-atashin lata koi
Hasan Nayeem