koh-e-gham itna garan itna garan hai ab ke
hai kahan tisha-garan aah-e-garan hai ab ke
mai-kashon itna na pi jao ki gham Dub jae
phir na phaT jae ye aatish jo fashan hai ab ke
tang-daman ye duniya-e-sitam zor-e-alam
baDhta jae hai rawan aur dawan hai ab ke
chashma-e-nab na baDh kar junun sailab bane
bah na jae ki ye miTTi ka makan hai ab ke
har taraf phailte baDhte hue ye zist ke hath
bahr-e-zulmat mein ek kuza-e-jaan hai ab ke
Ghazal
Koh-e-gham itna garan itna garan hai ab ke
Razi Raziuddin