kiye qarar magar be-qarar hi rakkha
hamein to aap ne ummid-war hi rakkha
pas-e-fana bhi falak ne ghubar hi rakkha
na rakkhi KHak na sang-e-mazar hi rakkha
kisi ke dard-e-judai ne hum ko jite ji
misal-e-abr-e-siyah ashk-bar hi rakkha
main tegh-e-yar ka kyun kar na dam bharun jis ne
maze KHalish ke diye dil-figar hi rakkha
mila na chain kabhi hum ko KHak ho kar bhi
falak ne dosh-e-saba par sawar hi rakkha
KHayal-e-ariz-e-rangin ne roz aa aa kar
KHizan mein bhi hamein mahw-e-bahaar hi rakkha
kisi ki chashm-e-mukayyaf ne kiya kahin 'nadir'
tamam umr hamein baada-KHwar hi rakkha

Ghazal
Kiye qarar magar be-qarar hi rakkha
Nadir Shahjahanpuri