اردو हिंदी
Kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche | Shaahi Shayari
kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche

Ghazal

Kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche

Faiz Ahmad Faiz

;

kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche
shab-o-roz-e-ashnai mah o sal tak na pahunche

wo nazar baham na pahunchi ki muhit-e-husn karte
teri did ke wasile KHad-o-KHal tak na pahunche

wahi chashma-e-baqa tha jise sab sarab samjhe
wahi KHwab mo'tabar the jo KHayal tak na pahunche

tera lutf wajh-e-taskin na qarar sharah-e-gham se
ki hain dil mein wo gile bhi jo malal tak na pahunche

koi yar jaan se guzra koi hosh se na guzra
ye nadim-e-yak-do-saghar mere haal tak na pahunche

chalo 'faiz' dil jalaen karen phir se arz-e-jaanan
wo suKHan jo lab tak aae pe sawal tak na pahunche