kiya salam jo saqi se hum ne jam liya
paDhe darud jo pir-e-mughan ka nam liya
chah-e-zaqan mein gira chahta tha dil mera
daraaz umr ho zulf-e-rasa ne tham liya
kisi ka zor zabardast par nahin chalna
falak ne zulm kiya kis ne intiqam liya
nasib-war thi zuleKHa jo paya yusuf ko
kaniz ho gai is shakl ka ghulam liya
bhara labon ne barabar dam-e-masihai
jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-am liya
mizaj puchha kisi ka to un ka munh dekha
kasak se hath mein aae agar salam liya
lagaya tha kahin dil hum ne wo maza chakkha
zaban ne phir na kabhi aashiqi ka nam liya
bhara hai aankh mein jadu khula ishaare se
zaban ka mizha-e-be-zaban se kaam liya
bahut kamar ke lachakne ka hai KHayal un ko
jo do qadam bhi chale painchon ko tham liya
chaDha KHumar jo sar par utar gai izzat
amama rakh ke giro saghar-e-mudam liya
uTha ke dagh liya haq-e-sai ka paisa
na murtashi ki tarah hum ne zar haram liya
hawa ko jaan di main ne zamin ko miTTi
ada kiya dam-e-ruKHsat jo qarz dam liya
muaf ki hai KHuda ne zaif par taklif
sitam kiya agar ab dast-o-pa se kaam liya
qasam na khaunga tison kalam ki ai 'bahr'
kisi ka KHwab mein bosa to la-kalam liya
Ghazal
Kiya salam jo saqi se humne jam liya
Imdad Ali Bahr