اردو हिंदी
Kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista | Shaahi Shayari
kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista

Ghazal

Kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista

Wali Mohammad Wali

;

kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista
ki aatish gul kun karti hai gulab aahista aahista

wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun
ki garmi dafa karta hai gulab aahista aahista

ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-KHalwat mein gul-ru sun
KHitab aahista aahista jawab aahista aahista

mere dil kun kiya be-KHud teri ankhiyan ne aaKHir kun
ki jyun behosh karti hai sharab aahista aahista

hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani
ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista aahista

ada o naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun
ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista aahista

'wali' mujh dil mein aata hai KHayal-e-yar-e-be-parwa
ki jyun ankhiyan manin aata hai KHwab aahista aahista