kiya main ne ro kar fishaar-e-gareban
rag-e-abr tha tar-tar-e-gareban
kahin dast-e-chaalak naKHun na lage
ki sina hai qurb-o-jawar-e-gareban
nishan ashk-e-KHunin ke uDte chale hain
KHizan ho chali hai bahaar-e-gareban
junun teri minnat hai mujh par ki tu ne
na rakkha mere sar pe bar-e-gareban
ziyarat karun dil se KHasta-jigar ki
kahan hogi yarab mazar-e-gareban
kahin jae ye daur-e-daman bhi jaldi
ki aaKHir hua rozgar-e-gareban
phirun 'mir' uryan na daman ka gham ho
na baqi rahe KHar-KHar-e-gareban
Ghazal
Kiya maine ro kar fishaar-e-gareban
Mir Taqi Mir