اردو हिंदी
Kiya jo etibar un par mariz-e-sham-e-hijran ne | Shaahi Shayari
kiya jo etibar un par mariz-e-sham-e-hijran ne

Ghazal

Kiya jo etibar un par mariz-e-sham-e-hijran ne

Shauq Bahraichi

;

kiya jo e'tibar un par mariz-e-sham-e-hijran ne
ThanDai mein dhatura de diya isa-e-dauran ne

phiraya dar-ba-dar un ko jahanbani ke arman ne
nachaya KHub ye bandar junun-e-fitna-saman ne

fujur-o-fisq ki tarikiyon mein jab koi bhaTka
dikhai dur se hi us ko light us ke iman ne

sakun milta hai un ko aur na hum ko chain raaton ko
pareshan kar rakha hai aap ke haal-e-pareshan ne

na hai ye kaam wahshat ka na harkat dast-e-wahshat ki
gala ghonTa hai diwane ka KHud us ke gareban ne

phira kar dar-ba-dar chunwae tinke raat din un se
banaya bewaquf achchha junun-e-fitna-saman ne

dayar-e-dost mein ushshaq bechaare jahan baiThe
pakaD kar kan uThaya KHak-rub-e-ku-e-jaanan ne

gulon mein rang-o-bu hai aur na ghunchon mein tabassum hai
bahaaren gulsitan ki bech lin ahl-e-gulistan ne

janab-e-naseh-e-mushfiq nasihat jab lage karne
dikhai chonch hans hans kar unhen chaak-e-gareban ne