kiya hai main ne aisa kya ki aisa ho gaya hai
mera dil mere pahlu mein paraya ho gaya hai
wo aae to laga gham ka mudawa ho gaya hai
magar ye kya ki gham kuchh aur gahra ho gaya hai
sawad-e-shab tere sadqe kuchh aisa ho gaya hai
bhanwar bhi dekhne mein ab kinara ho gaya hai
main un ki guftugu se aalam-e-sakta mein gum tha
wo samjhe un ki baaton se dilasa ho gaya hai
kabhi mauqa mile to guftugu kar lun KHabar lun
ki KHud se rabt TuTe ek arsa ho gaya hai
kabhi un ka nahin aana KHabar ke zail mein tha
magar ab un ka aana hi tamasha ho gaya hai
mujhe farhad o majnun aafrin kahte hain 'arshad'
ki ab mera bhi jine ka irada ho gaya hai
Ghazal
Kiya hai maine aisa kya ki aisa ho gaya hai
Arshad Kamal