kiya hai dil ne begana jahan-e-murgh-o-mahi se
hamein jagir-e-azadi mili darbar-e-shahi se
khila hai ghuncha-e-hairat hawa-e-gah-gahi se
hue majzub rafta rafta us ki kam-nigahi se
teri duniya mein ai dil hum bhi ek goshe mein rahte hain
hamein bhi kuchh ummiden hain teri aalam-panahi se
reaya mein shahanshah-e-junun ki hum bhi daKHil hain
hamein bhi kuchh na kuchh nisbat to hai zill-e-ilahi se
hue hain bas-ki baiat us nazar ke KHanwade mein
faqiri se talluq hai na matlab baadshahi se
kiya hai us nazar ne sarfaraaz ahl-e-mohabbat ko
kisi ko taj-dari se kisi ko be-kulahi se
kahan wo KHanuman-barbaadi-e-ishq aur kahan ye hum
phira karte hain yunhi dar-ba-dar wahi tabahi se
Ghazal
Kiya hai dil ne begana jahan-e-murgh-o-mahi se
Ahmad Javed