kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya
ki banne bigaDne ka har faisla KHak par rakh diya
mujhe qasr-e-tabir ki us ne sab kunjiyan saunp din
magar chhin kar KHwab aankhon se aflak par rakh diya
siwa rakh hone ke ab koi chaara bacha hi nahin
sharar-e-hawas kis ne ye mere KHashak par rakh diya
koi hai jo girdab-e-gham se bachae hue hai mujhe
ki ek mehrban hath phir chashm-e-namnak par rakh diya
koi kaam 'aslam' bana hi nahin wahshaton ke baghair
jala kar charagh-e-junun taq-e-idrak par rakh diya
Ghazal
Kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya
Aslam Mahmood