kiya bagh-e-jahan mein nam un ka sarw kah kah kar
kai aahen jo nikli thin mere sine se rah rah kar
sahab-o-barq hain ya shisha-o-saghar hain kya hum tum
ki hum jis waqt rowen tum hanso us waqt qah qah kar
hamara girya dekhe chashm-e-kam se kyun na dariya ko
samundar se kai jate hain yan ek pal mein bah bah kar
hue jis gul ke hum chah-e-zaqan mein gharq kar denge
mere yak qatra-e-shabnam mein bulbul Dub chah chah kar
dhamak wo aah ke nare ki apne hai ki gardun se
sitare TuTe paDte hain kuen jate hain dah dah kar
bara-e-imtihan ushshaq par teghe chalata hai
jo zaKHmi ho ke girte hain to rah jata hai dah dah kar
dila kuche se us ke aaj agar tu KHair se aaya
yahi din kal bhi hai dar-pesh sheKHi se na pah pah kar
namaz-e-shaiKH ho itmam kyunkar sarqa dushman hai
ki TuTe hai wuzu har bar jab khate hain ah ah kar
imarat to Dahe phir ban sake hai par tere hathon
hue hain KHak kya kya qasr-e-dil ai shoKH Dhah Dhah kar
na ho ruKH se tere ai aah faujon ka muqabil ruKH
kiya tu ne sawaron ko piyaada mat shah shah kar
lab-e-baam aa ke abru ki jhamak din sulh ke dikhla
ki aalim dekhne ko shahar ka dauDe hai mah mah kar
zamin mein gaD gae dekh us qad-e-rana ko KHajlat se
lab-e-ju par akaDte the khaDe kya sarw lah lah kar
wafaen roz-e-awwal se meri tujh ko na KHush aain
jafa mein main teri aaKHir hua bhar umr sah sah kar
idhar to jama-chin khole hai us gul-ru ke daman ko
udhar bulbul rakhe hai raKHt-e-gul KHajlat se tah tah kar
laData hai agar aghyar se tu roz-o-shab aankhen
'muhib' apne par ai zalim nigah-e-lutf gah gah kar
Ghazal
Kiya bagh-e-jahan mein nam un ka sarw kah kah kar
Waliullah Muhib