kiwaD band bhi hai aur nim-wa bhi hai
wo rup anup zara KHush zara KHafa bhi hai
sharik-e-rah-e-wafa gul-sarisht mah-ba-kaf
qatil-e-gardish-e-dauran barahna-pa bhi hai
haqiqaton se fasanon ko kya ilaqa hai
KHuda nahin bhi hai logo magar KHuda bhi hai
hujum-e-naghma-o-nikhat mein yun to hota hai
KHata muaf KHata to nahin KHata bhi hai
wahi ghazal ki riwayat-e-kafiri hain abhi
wahi hijab wahi shoKHi-e-ada bhi hai
ufuq ufuq abhi insan ki manzilen hain 'waqar'
usi zamin pe magar rah-e-irtiqa bhi hai
Ghazal
KiwaD band bhi hai aur nim-wa bhi hai
Wakil Akhtar