kitni ThanDi thi hawa qarya-e-barfani ki
jam gai dil mein kasak sham-e-zamistani ki
hadsa koi naya rah pe guzra hoga
dhul har chehre pe bikhri hai pareshani ki
main jahan jaun wahin maut ki tahwil mein hun
tegh ek laTki hai har sans pe nigrani ki
mere tewar pe mera nam-o-nasab kanda hai
dil ka aaina hai taKHti meri peshani ki
shaKH-e-mizhgan pe lahakte hue ashkon ke gulab
fasl panpi hai bahut KHitta-e-barani ki
kya KHabar kis ka safina sar-e-sahil pahunche
lahr KHatre se kahin unchi hai tughyani ki
hasil-e-kisht ki ho kaise tawaqqo 'rasiKH'
sukhe nalon mein kahin bund nahin pani ki
Ghazal
Kitni ThanDi thi hawa qarya-e-barfani ki
Rasikh Irfani