kitni tabiron ke munh utre paDe hain
KHwab ab tak hath phailae khaDe hain
rah mein jo mil ke patthar gaDe hain
rahnumaon ki tarah shashdar khaDe hain
koi apne aap tak pahunche to kaise
aagahi ke kos bhi kitne kaDe hain
zindagi hum tujh se bhi laD kar jiyenge
hum jo KHud apne hi sae se laDe hain
dosto sar par bhi aa jata hai suraj
dhup kam hai is liye sae baDe hain
hum ko bhi kuchh waqt de ai jaan-e-mahfil
hum ne bhi do ek afsane gaDhe hain
Ghazal
Kitni tabiron ke munh utre paDe hain
Zaka Siddiqui