kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki
milti hai un ki ada se har ada barsat ki
jaane kis mahiwal se aati hai milne ke liye
sohni gati hui saundhi hawa barsat ki
us ke ghar bhi tujh ko aana chahiye tha ai bahaar
jis ne sab ke waste mangi dua barsat ki
ab ki barish mein na rah jae kisi ke dil mein mail
sab ki gagri dho ke bhar de ai ghaTa barsat ki
dekhiye kuchh aise bhi bimar hain barsat ke
botalon mein le ke nikle hain dawa barsat ki
jeb apni dekh kar mausam se yari kijiye
ab ki mahngi hai bahut aab-o-hawa barsat ki
baadalon ki ghan-garaj ko sun ke bachche ki tarah
chaunk chaunk uThti hai rah rah kar faza barsat ki
raste mein tum agar bhige to KHafgi mujh pe kyun
mere munsif pe KHata meri hai ya barsat ki
hum to barish mein khuli chhat par na soenge 'nazir'
aap tanha apne sar lije bala barsat ki
Ghazal
Kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki
Nazeer Banarasi