اردو हिंदी
Kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par | Shaahi Shayari
kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

Ghazal

Kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

Jafar Baluch

;

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par
pahre lage hue hain meri bol-chaal par

kahte hain log joshish-e-fasl-e-bahaar hai
phulon ka jab mizaj na ho e'tidal par

tu apni siskiyon ko daba apne ashk ponchh
ai dost chhoD de tu mujhe mere haal par

phir aaj ismaton ki jabin hai araq araq
tohmat lagi hai phir kisi mariyam-KHisal par

mahsus barha ye hua hai ki zindagi
ek barf ki Dali hai kaf-e-barshgal par