اردو हिंदी
Kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya | Shaahi Shayari
kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya

Ghazal

Kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya

Amjad Islam Amjad

;

kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya
raat jab tak rahe ai mere ham-nawa rakhna raushan diya

raushni ka wazifa nahin wo chale rasta dekh kar
wo to aazad hai misl-e-mauj-e-saba rakhna raushan diya

raat kaisi bhi ho KHauf ke chor ki ghat kaisi bhi ho
apni ummid ka apne wishwas ka rakhna raushan diya

shab ki be-ant zulmat se laD sakti hai ek nannhi si lau
rah bhule huon ko hai bang-e-dara rakhna raushan diya

aashna ki sada ghup-andhere mein ban jati hai raushni
is shab-e-tar mein apni aawaz ka rakhna raushan diya

raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai
jot se jot jalti rahegi sada rakhna raushan diya

mujh se 'amjad' kaha jhilmilate hue aKHtar-e-sham ne
us ko aana hi hai wo zarur aaega rakhna raushan diya