kitni sadiyon se lamhon ka loban jalta raha
umr ka silsila sans ban kar pighalta raha
napta rah gaya mauj se mauj ka fasla
waqt ka tez dariya samundar mein Dhalta raha
be-nishan manzilen kis safar ki kahani likhun
thak gai soch har moD par zehn jalta raha
ajnabi raston ki taraf yun na baDhte qadam
gard ban kar kai mere ham-rah chalta raha
rut badalte hi dil mein nai Tis paida hui
zahr-alud mausam mein ek dard palta raha
gyan ki aanch ne kar diya masKH mera wajud
ya main bargad ke sae mein KHud ko badalta raha
daere se nikal kar bhi main daere mein tha qaid
phul zaKHmon ke chunta raha hath malta raha

Ghazal
Kitni sadiyon se lamhon ka loban jalta raha
Rauf Khalish