اردو हिंदी
Kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain | Shaahi Shayari
kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain

Ghazal

Kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain

Gulzar Bukhari

;

kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain
be-jahat naslon ki aawazen KHala mein kho gain

rang-o-bu ka shauq aashob-e-hawa mein le gaya
titliyan ghar se nikal kar ibtila mein kho gain

kaun pas-e-manzar mein ujDe paikaron ko dekhta
shahar ki nazren libas-e-KHushnuma mein kho gain

muntazir chaukhaT pe tabiron ke shahzade rahe
KHwab ki shahzadiyan qasr-e-dua mein kho gain

sanp ne un ke nasheman mein basera kar liya
peD se chiDiyon ki mahkaren faza mein kho gain

koi kya bab-e-aman aafat-zadon par kholta
dastaken gulzar tufan ki sada mein kho gain