kitni mushkil se gham-e-dost bayan hota hai
ashk thamta hai na aankhon se rawan hota hai
mutrib-e-waqt ka aahang badal deta hun
jab tere aariz-o-gesu ka bayan hota hai
rang-o-bu ban ke jo uDta hai shabistanon mein
wo bhi hasrat ke charaghon ka dhuan hota hai
zindagi jabr ke daman mein janam leti hai
aadmi dar ke sae mein jawan hota hai
Thahar jata hun tah-e-zulf-e-nigar-e-farda
bar-e-imroz jo shanon pe garan hota hai
zindagi kya hai bas ek KHana-e-matam 'jawed'
dil dhaDakta hai to ehsas-e-fughan hota hai
Ghazal
Kitni mushkil se gham-e-dost bayan hota hai
Shakur Javed