اردو हिंदी
Kitni mahfuz zindagi thi kabhi | Shaahi Shayari
kitni mahfuz zindagi thi kabhi

Ghazal

Kitni mahfuz zindagi thi kabhi

Hamdam Kashmiri

;

kitni mahfuz zindagi thi kabhi
dushmani thi na dosti thi kabhi

ab faqat qahqahe lagata hun
meri aankhon mein bhi nami thi kabhi

soch kar ab qadam uThata hun
meri rahon mein gum rahi thi kabhi

ab dhuan hai jo pi rahe hain nam
aag har moD par lagi thi kabhi

ab to badla hai apna paimana
jo buri hai wahi bhali thi kabhi

tha safed-o-siyah se waqif
meri aankhon mein raushni thi kabhi

ab to tasbih le ke baiThe hain
hath mein jin ke lablabi thi kabhi

sab ka mahbub ek tha 'hamdam'
shahr mein ek hi gali thi kabhi