اردو हिंदी
Kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun | Shaahi Shayari
kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun

Ghazal

Kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun

Erum Zehra

;

kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun
panw mein main chhaale sah kar apne ghar tak aai hun

kali raat ke sannaTe ko main ne pichhe chhoD diya
shab-bhar tare ginte ginte dekh sahar tak aai hun

likhte likhte lafzon se meri bhi kuchh pahchan hui
sari umr ki punji le kar aaj hunar tak aai hun

shayad wo miTTi se koi teri shakl bana pae
tere KHadd-o-KHal batane kuza-gar tak aai hun

suraj ki shiddat ne mujh ko kitna hai behaal kiya
dhup ki chadar oDh ke sar pe ek shajar tak aai hun

babul ke aangan se ek din har beTi ko jaana hai
aankhon mein nae KHwab saja kar tere dar tak aai hun

apne hath mein ilm ki shama 'iram' ne thame rakkhi hai
main to ek ujala le kar dida-war tak aai hun