اردو हिंदी
Kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan | Shaahi Shayari
kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan

Ghazal

Kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan

Makhmoor Saeedi

;

kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan
ghar kahin gum ho gaya diwar-o-dar ke darmiyan

kaun ab is shahr mein kis ki KHabar-giri kare
har koi gum ek hujum-e-be-KHabar ke darmiyan

jagmagaega meri pahchan ban kar muddaton
ek lamha an-ginat sham o sahar ke darmiyan

ek saat thi ki sadiyon tak safar karti rahi
kuchh zamane the ki guzre lamha bhar ke darmiyan

war wo karte rahenge zaKHm hum khate rahen
hai yahi rishta purana sang o sar ke darmiyan

kya kahe har dekhne wale ko aaKHir chup lagi
gum tha manzar iKHtilafat-e-nazar ke darmiyan

kis ki aahaT par andheron mein qadam baDhte gae
runuma tha kaun is andhe safar ke darmiyan

kuchh andhera sa ujalon se gale milta hua
hum ne ek manzar banaya KHair-o-shar ke darmiyan

bastiyan 'maKHmur' yun ujDin ki sahra ho gain
fasle baDhne lage jab ghar se ghar ke darmiyan