kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parwana
raat aai to hui hai sahar-e-parwana
shama jalte hi yahan hashr ka manzar hoga
phir koi pa na sakega KHabar-e-parwana
bujh gai shama kaTi raat gai sab mahfil
ab akele hi kaTega safar-e-parwana
raat bhar bazm mein hangama hi hangama tha
sirf KHamoshi hai ab nauha-gar-e-parwana
sari maKHluq tamashe ke liye aai thi
kaun tha sikhne wala hunar-e-parwana
aasman surKH hai suraj bhi abhi Duba hai
abhi raushan na karo rahguzar-e-parwana
na sahi jism magar KHak to uDti phirti
kash jalte na kabhi baal-o-par-e-parwana
shama kya chiz hai jalti to kahan tak jalti
abhi zinda hai dil-e-be-KHatar-e-parwana
hae wo husn ki jis ka koi mushtaq nahin
hae wo shama ki hai be-KHabar-e-parwana
jis tarah guzregi ye raat guzar jaegi
muddaton yaad rahega asar-e-parwana
ek hi jast mein tai ho gai manzil 'shahzad'
kitne aaram se guzra safar-e-parwana
Ghazal
Kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parwana
Shahzad Ahmad