kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain
aur hum hain ki tahi-jam liye phirte hain
umr guzri ke tabassum ki tarah honTon par
talKHi-e-gardish-e-ayyam liye phirte hain
tazkire hain ye chaman mein ki sabhi lala-o-gul
nikhat-e-ariz-e-gulfam liye phirte hain
sharm ai husn-e-jafa-pesha ki kuche mein tere
aaj tak hum dil-e-nakaam liye phirte hain
jaane kya dekha hai un shoKH nigahon mein ki hum
apne sar muft ka ilzam liye phirte hain
jab se hum ne tere kuche se guzarna chhoDa
nama-bar shahr mein paigham liye phirte hain
kya karenge wo meri raaton ko raushan 'arshad'
ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam liye phirte hain
Ghazal
Kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain
Arshad Siddiqui