kitne nazuk kitne KHush-gul phulon se KHush-rang pyale
ek badmast sharabi ne maiKHane mein TukDe kar Dale
mausamiyat ke mahir hone ke to dawedar sabhi hain
hum samjhen jo habs ghaTae hum manen jo jhakkaD Tale
masnui neluni phulon se gul-dan sajae jaen
aur qarabniqon ka luqma ban jaen KHushbuon wale
firaunon ke ghar hi un ke zahron ke tiryaq pale hain
raaton ki aaghosh hi pale ai dil surKH saped ujale
hum ko 'sharif' ye puKHta yaqin hai aaj agar hain kal na rahenge
rahon mein kanTe hi kanTe panw mein chhaale hi chhaale
Ghazal
Kitne nazuk kitne KHush-gul phulon se KHush-rang pyale
Sharif kunjahi