kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre
jab uThe hath duaon ko to gauhar barse
tak rahe the tere ghar ko wo saman bhi kya tha
tu guzarta hai hawa aai to hum ye samjhe
kitni hi bar kiya hum ne to zamzam se wazu
kitni hi bar teri yaad mein aansu chhalke
surma-e-KHak-e-madina jo laga aankhon mein
misl aaine ke aankhon ke nagine chamke

Ghazal
Kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre
Razia Halim Jang