kitne KHwab TuTe hain kitne chand gahnae
jo raqib-e-zulmat ho ab wo aaftab aae
dushmanon ko apnaya doston ke gham khae
phir bhi ajnabi Thahre phir bhi ghair kahlae
na-KHuda ki niyyat ka khul gaya bharam to kya
baat jab hai kashti bhi Dubne se bach jae
hadse bhi barsenge zalzale bhi aaenge
ye safar qayamat hai tum kahan chale aae
phul phul barham hai KHar KHar dushman hai
hum 'mujib' gulshan se lau laga ke pachhtae
Ghazal
Kitne KHwab TuTe hain kitne chand gahnae
Mujeeb Khairabadi